Aate Jaate Hanste Gaate By Raamlaxman

Aate jaate hanste gaate
Socha tha maine man mein kai baar
Woh pehli nazar halka sa asar
Karta hai kyun is dil ko bekaraar
Ruk ke chalna chalke rukna
Na jaane tumhe hai kiska intezaar
Tera woh yakin kahin main to nahin
Lagta hai yehi kyon mujhko baar baar
Yehi sach hai shayad maine pyar kiya
Ha ha tum se maine pyar kiya

Aate jaate hanste gaate
Socha tha maine man mein kai baar
Hothon ki kali kuch aur khili
Yeh dil pe hua hai kiska ikhtiyaar
Tum kaun ho batla to do
Kyun karne lagi maein tum pe aitbaar
Khamosh rahun ya main keh doon
Ya karlu maein chupke se yeh sweekar
Yehi sach hai shayad maine pyar kiya
Haan haan tum se maine pyar kiya...

Song Details
Movie
Maine Pyar Kiya
Artist
Raamlaxman
Music Directory
Raamlaxman (Vijay Patil)
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar, S. P. Balasubrahmanyam
Lyricist
Dev Kohli

more lyrics from Maine Pyar Kiya

Aaja Shaam Hone Aayee
Aate Jaate Hanste Gaate
Aaya Mausam Dosti Ka
Antakshri
Dil De Ke Darde Mohabbat Liya Hai
Dil Deewana – (Male)
Dil Deewana Bin Sajna Ke – (Female)
Kabootar Ja Ja Ja
Kahe Toh Se Sajna
Mere Rang Mein Rangne Wali