Mujhe Le Chalo By Madan Mohan Kohli

Mujhe le chalo, aaj phir us gali me
Jaha pahle pahle, ye dil ladkhdaya
Vo duniya, vo meri mohabbat ki duniya
Jaha se mai betabiya leke aaya
Mujhe le chalo,

Jaha so rahi hai meri zidagani
Jaha chhod aaya mai apni javani
Vaha aaj bhi ek chokhat pe taza
Mohabbat ke sajdo ki hogi nishani
Mohabbat ke sajdo ki hogi nishani
Mujhe le chalo

Vo duniya jaha uski naqshe kadam hai
Vahi meri khushiya, vahi mere gam hai
Mai le aaunga khak us rahguzar ki
Ke us rahguzar ki to zare sanam hai
Ke us rahguzar ki to zare sanam hai
Mujhe le chalo

Vaha ek rangin chilman ke pichhe
Chamkta huya uska, rukasar hoga
Basa lung aankho me vo roshani mai
Yuhi kuch ilaje dilezar ho
Yuhi kuch ilaje dilezar ho
Mujhe le chalo

Mujhe le chalo, aaj phir us gali me
Jaha pahle pahle, ye dil ladkhdaya
Vo duniya, vo meri mohabbat ki duniya
Jaha se mai betabiya leke aaya
Mujhe le chalo...

Song Details
Movie
Sharabi
Artist
Madan Mohan Kohli
Music Directory
Madan Mohan Kohli
Music Label
Saregama
Singers
Mohammed Rafi
Lyricist
Rajendra Krishan

more lyrics from Sharabi

Do Do Haath
Jaao Ji Jaao
Kahi Na Kahi
Mujhe Le Chalo
Saawan Ke Mahine Me
Tum Ho Hasin