Zara Dekh Sanam By Ravi Shankar Sharma (Ravi)

Zara dekh sanam mera jazba e dil
Mujhe aaj kahaan tak le aaya
Zara dekh sanam mera jazba e dil
Mujhe aaj kahaan tak le aaya
Jahaan aake main khud ko bhool gayi
Tera pyaar wahaan tak le aaya
Zara dekh sanam mera jazba e dil

Tu paas rahe phir kya gham hai
Has saans khushi ki sargam hai
O chhedne waale pyar ki dhum
Ehsaan tera ye kya kam hai
Ehsaan tera ye kya kam hai
Jo geet chhupe hain mere
Unhen meri zubaan tak le aaya
Zara dekh sanam mera jazba e dil

Ye thandi hawaayein lahraatin
Rangeen fazaayein madmaati
Ye thandi hawaayein lahraatin
Rangeen fazaayen madmaati
Main pyaar ki tere deewaani
Manzil pe akeli kya aati
Manzil pe akeli kya aati
Mera dard e muhabbat tujhko bhi
Mere saath yahaan tak le aaya
Zara dekh sanam mera jazba e dil
Mujhe aaj kahaan tak le aaya
Zara dekh sanam mera jazba e dil...

Song Details
Movie
Grahasti
Artist
Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Music Directory
Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar
Lyricist
Shakeel Badayuni

more lyrics from Grahasti

Aaj Mili Ek Ladki
Ding Dong Ding Dong
Ja Ja Re Ja Deewane Ja
Jaane Teri Nazro Ne Kya Kar Diya
Jeevan Jyot Jaley
Khile Hai Sakhi Aaj Phulwa
Payal Khul Khul Jaaye Ram
Wo Aurat Hai Jo Insano Ki
Zara Dekh Sanam