Aitbaar By Amit Trivedi

Gulzaar zaar hua aitbaar
Tukde hazaar hua aitbaar
Hua sharmsaar khud se hi haar kar ke
Kyun taar taar hua aitbaar
Jhootha khumaar hua aitbaar
Seenay mein yaar chubhta gubaar banke

Dil aitbaar karke, ro raha hai aitbaar aitbaar aitbaar aitbaar aitbaar karke
Ro raha hai aitbaar karke
Dil aitbaar karke, ro raha hai aitbaar aitbaar aitbaar aitbaar aitbaar karke
Ro raha hai aitbaar karke

Darr ka shikaar hua aitbaar
Dil mein daraar hua aitbaar
Kare jeetkaar baahein pasaar karke
Nashtar ki dhaar hua aitbaar
Pasli ke paar hua aitbaar
Choosay hai khoon bada khoonkhaar banke

Jhulsi hui iss rooh ke, chithde padeh bikhre hue
Udhdi hui ummeed hai oo
Raunde jinhe kadmo tale, badi beraham raftaar yeh
Bejaan si iss geed ke oo
Jal bhun ke raakh hua aitbaar
Ganda mazaak hua aitbaar
Chidhta hai, kudhta hai, sadta hai raaton mein
Challi sa chaakh hua aitbaar
Raste ki khaak hua aitbaar
Galta, pighalta hai, khalta hai raaton mein

Dil aitbaar karke, ro raha hai aitbaar aitbaar
aitbaar aitbaar aitbaar karke
Ro raha hai aitbaar karke
Dil aitbaar karke, ro raha hai aitbaar aitbaar
aitbaar aitbaar aitbaar karke
Ro raha hai aitbaar karke

Kyun phir zaar zaar hua aitbaar
Tukde hazaar hua aitbaar
Hua sharmsaar khud se hi haar kar ke
Nashtar ki dhaar hua aitbaar
Pasli ke paar hua aitbaar
Choosay hai khoon bada khoonkhaar banke



Song Details
Movie
No One Killed Jessica
Artist
Amit Trivedi
Music Directory
Amit Trivedi
Music Label
Saregama
Singers
RDB (Rhythm Dhol Bass), Vishal Dadlani
Lyricist
Amitabh Bhattacharya

more lyrics from No One Killed Jessica

Aali Re Saali Re
Aitbaar
Da Da Da Dilli
Dua Karo
Yeh Pal Jo Hain