Baant Raha Tha By Various Artists

Maein kyun daaman ko faylaaun maein kyun koi dua maangun
Tujhe jab pa liya maine khuda se aur kya maangun
Baantt raha tha jab khuda saare jahan ki naematein
Apne khuda se maang li maine teri wafa sanam
Baantt raha tha jab khuda
Baantt raha tha jab khuda saare jahan ki naematein
Apne khuda se maang li maine teri wafa sanam

Meri wafa ke saaz mein goonj rahi hai laey teri

Maein bhi hoon teri jaanejaan meri wafa bhi hai teri
Tu hi jo mil gaya mujhe, tu hi jo mil gaya mujhe
Chaahiye aur kya sanam
Baantt raha tha jab khuda saare jahan ki naematein
Apne khuda se maang li maine teri wafa sanam

Kaash maein apni zindag pyar mein yoon guzaar doon

Waqt padhe to dil ke saath jaan bhi apni vaar doon
Shayad isi tarah se ho, shayad isi tarah se ho
Pyar ka haq ada sanam
Baantt raha tha jab khuda saare jahan ki naematein
Apne khuda se maang li maine teri wafa sanam

Log yahan tere mere pyar ko aazmayenge
Tujhko alag satayenge mujhko alag rulayenge
Apna magar hai faisla honge na hum juda sanam
Baantt raha tha jab khuda saare jahan ki naematein
Baantt raha tha jab khuda saare jahan ki naematein
Apne khuda se maang li maine teri wafa sanam..

Song Details
Movie
Bade Dilwala
Artist
Various Artists
Music Directory
Aadesh Shrivastava, Shankar Mahadevan
Music Label
Time Audio
Singers
Alka Yagnik, Udit Narayan
Lyricist
Qateel Shifai

more lyrics from Bade Dilwala

Baant Raha Tha
Apne Mehboob Ki
Bhadke Aag Judaai Ki
Jawan Jawan Hai
Mujhe Aisa Ladka
Tu Tu Ru Tu Ru