Aaj Ki Taaza Khabar from Son of India Movie (Naushad Ali)

Aaj ki taza khabar aaj ki taza khabar
Aaj ki taza khabar aao kaka ji idhar
Aao mama ji idhar suno duniya ki khabar
Aao kaka ji idhar aao mama ji idhar
Suno duniya ki khabar

Mai tumhare liye dukh aur khushi bhi laya
Mai tumhare liye aansu bhi hansi bhi laya
Dekh lo aaj ke insan ki halat kya hai
Aaj ki duniya me iman ki kimat kya hai
Log jite hai yaha duniya ko dhoka dekar

Aaj ki taza khabar aaj ki taza khabar
Aaj ki taza khabar aao kaka ji idhar
Aao mama ji idhar suno duniya ki khabar

Aaj ek bhakt ne bhagwan ka mandir luta
Ek beiman ne masjid me churaya juta
Kale bazar ki ek toli pulis ne dhar li
Ek budhe ne jawan ladki se shadi kar li
Ek ladka uda ek mem ka batua lekar

Aaj ki taza khabar aaj ki taza khabar
Aaj ki taza khabar aao kaka ji idhar
Aao mama ji idhar suno duniya ki khabar

Ek dhanvan ne aaj apna dharam chhod diya
Aaj ek bhukhe ne khud dam tod diya
Aaj tankha badi hai to majbur magan
Kal ho jayega bazar me mehanga rashan
Babu ji jayege daftar to pakode khakar

Aaj ki taza khabar aaj ki taza khabar
Aaj ki taza khabar aao kaka ji idhar
Aao mama ji idhar suno duniya ki khabar

Yu to ganpat bhi hai jo shakti hai
Rahman bhi hai ye to batlao ke inme kahi
Insan bhi hai
Koi roti koi paise ko khuda kahta hai
Har koi pap ke dhandhe me laga rahta hai
Aaj bhagwan se badkar havaldar ka dar

Aaj ki taza khabar aaj ki taza khabar
Aaj ki taza khabar aao kaka ji idhar
Aao mama ji idhar suno duniya ki khabar

Aaj amerika ne atam ka udaya ghoda
Rus ne aaj naya chand pe roket chhoda
Kahi se aaj ka insan kahi pahuncha hai
Phir bhi sachchai ke raste pe nahi pahuncha hai
Kise malum ke ye aadmi jayega kidhar

Aaj ki taza khabar aaj ki taza khabar
Aaj ki taza khabar aao kaka ji idhar aao kaka jiidhar
Aao mama ji idhar suno duniya ki khabar
Aao kaka ji idhar
Aao mama ji idhar suno duniya ki khabar...

Song Details
Movie
Son of India
Artist
Naushad Ali
Music Directory
Naushad Ali
Music Label
Saregama
Singers
Shanti Mathur
Lyricist
Shakeel Badayuni

Other Lyrics from Son of India

Aaj Chhedo Mohabbat
Aaj Ki Taaza Khabar
Chal Diye De Ke
Dil Todne Wale
Insaan Tha Pehle Bandar
Mujhe Huzur Tumse
Nanha Munna Raahi Hoon
Zindagi Aaj Mere

Other popular Lyrics by Naushad Ali

Takra Gaya Tumse Dil Hee To Hai (Aan)
Bhole Bhaale Se (Aawaz De Kahan Hai)
Aayi Re Holi Aayi (Aawaz De Kahan Hai)
Suhani Raat Dhal Chuki (Dulari)
Tujhe Kho Diya Hamne (Aan)
Kaho To Aaj Bol Du (Aaina)
Maan Mera Ehsan (Aan)
Dil Mein Chhupake Pyar Ka (Aan)
Ab Kaun Hai Meraa (Anmol Ghadi)
Aaja Meri Barbaad Muhabbat (Anmol Ghadi)