Ja Ja Ja Chhod De O Chhaliya from Kan Kan Men Bhagwan Movie (Pandit Shivram)

Ja ja ja
Chhod de o chhaliya
Mori gori kalaiyaan
Phir na kabhi paas tere
Aaungi sainyaan
Chhod kalaiyaan,
Aa aa aa
Jhoom rahi lahron mein
Man ki talaiya
Dole re teri meri preet ki naiya
Preet ki naiya, jaa jaa jaa

Main to bholi bhaali naar
Tum chatur piya
Baaton baaton mein hi
Mohe bas mein kar liya
Aisi bholi hai piya ko
Maat kar diya
Meri kaali raat ko
Prabhaat kar diya
Teri ik nazar ne
Aisa waar kar diya
Teri ik nazar ne
Aisa waar kar diya
Dari re main mari re main
Haay sharmaa gayi main, ja ja ja
Chhod de o chhaliya
Mori gori kalaiyaan
Phir na kabhi paas tere
aaungi sainyaan
Chhod kalaiyaan,
Aa aa aa
Jhoom rahi lahron mein
Man ki talaiya
Dole re teri meri preet ki naiya
Preet ki naiya, jaa jaa jaa

Raadhika main gori
Raadhika main gori
Shyaam tu hai sanwla
Tere mere rang ka hai
Kya muqaabala
Saanwli ghata se poochho
Shyaam ki kala
Nainon mein kajarwa
Kitna lag rahaa bhala
Hamko na chhuo ji
Meethe bol bol ke
Hamko na chhuo ji
Meethe bol bol ke
Dari re main mari re main
Haay sharama gayi main, ja ja ja
Chhod de o chhaliya
Mori gori kalaiyaan
Phir na kabhi paas tere
Aaungi sainyaan
Chhod kalaiyaan, aa aa aa
Jhoom rahi lahron mein
Man ki talaiya
Dole re teri meri preet ki naiya
Preet ki naiya, aa aa aa...

Song Details
Movie
Kan Kan Men Bhagwan
Artist
Pandit Shivram
Music Directory
Pandit Shivram
Music Label
Saregama
Singers
Mukesh Chand Mathur (Mukesh), Suman Kalyanpur
Lyricist
Bharat Vyas

Other Lyrics from Kan Kan Men Bhagwan

Apne Piya Ki Bani Re Joganiya
Bharat Bhumi Mahan Hai
Ja Ja Ja Chhod De O Chhaliya
Nadiya Na Piye Kabhi Apna Jal
Nag Dewta Trahimam Pahimam
Sabko Naach Nachata
Ye Duniya Banana

Other popular Lyrics by Pandit Shivram

Ye Duniya Banana (Kan Kan Men Bhagwan)
Nadiya Na Piye Kabhi Apna Jal (Kan Kan Men Bhagwan)
Apne Piya Ki Bani Re Joganiya (Kan Kan Men Bhagwan)
Ja Ja Ja Chhod De O Chhaliya (Kan Kan Men Bhagwan)
Sabko Naach Nachata (Kan Kan Men Bhagwan)
Bharat Bhumi Mahan Hai (Kan Kan Men Bhagwan)
Nag Dewta Trahimam Pahimam (Kan Kan Men Bhagwan)