Dur hote huve bhi Dosti ka Rishta nibhate hai aap, Na jane kyun Dil ko lubhate hai aap, Yeh kaisa karishma hai aap ka, Jo hum ko itna yaad aate hai aap.
Jab bhi yaad aati hai muskura lete hai kuch palo ke liye har gam bhula dete hai kaise bhig sakti hai palke aap ke aap ke hisse ke aansu to hum baha lete hai..
Jiss dil pe na aaee chot kabhi woh dard kisi ka kya jane, Khud shamma ko maloom nahi kyon jal jate hain parwaane, Matt poochoo kya guzarti hai juda jab yaar hote hain, Aansoo teer ban ke jigar ke paar hote hain
Sachi hai dosti aajmake dekh lo, karke yakin mujh pe mere paas aake dekh lo. badalta nahi kabhi sona apna rang, chahe jitni baar marji aag me jalaake dekh lo