Kya zamaana tha,hum roz mila karte the; raat bhar chaand ke humraaz fira karte the.. Dekh kar jo chupchaap guzar jaate hain, kabhi us shakhs ko apna Dost kaha karte the....
Dosti ki hai, Nibhani to padegi, Aapki taklif hume baatni to padegi, Aapki taklif na jaan sake to dosti kis kaam ki, Aapke liye mar na sake to zindagi kis kam ki.
Dil se Dil badi mushkil se milte hai, Tofanoo mein sahil badi mushkil se milte hai. Yu to mil jaate hain hazaron, Magar aap jaise Dost nasib walon ko milte hai
Aapko koi gam ha to khushi hum h, ro rahe ho to hashi ham, udaas ho to umang hum h, akele ho to sath hum h ab muskura bhi do kyuki jab hum hai to kya gum hai.
Aakhon me kyun aansu jhalak jate hai,Tanhaiyo me kyun gham yaad aate hai,Aansu pochkar koi yeh bata de hume,Dur rehne wale dost hi aksar kyun yaad aate hai
Unka ashiyana dilo me bansa rakha hai.apaki yado ko sine se se laga rakha hai.pata nahi yad aap hi kyo aate hai. Dost to hamne ouro ko bhi bana rakha hai