Koi khat nahi, Koi khabar nahi, aapko shayad dosti ki kadr nahi, hum to aapko yaad karte hai har sans ke sath, shayad aapko hamari sanso ki fikar nahi.
Teri pyari umid kaise tod jaun, thu khwab dekhe aur mein nazar na aaon..! kuch to baat hai dosti me hamari, kya apke kadam nahi kehte ki chalo mil aaun...
Zamaana gujar gaya haathon ko milaye hue, Muddat ho gayi nazaron ko milaye hue, Din raat nikal gaye yaadon me khoye hue, Ab kab samane aaoge yaar muskurate hue?
Kabhi Kabhi teri palkon pe jhilmilaaun mein, Tu kare intzaar aur na aau mein, Samunder mein le ja kar fareb na karna e-dost, Tu kahe to kinare pe doob jaau mein