Hoton pe dosti ke fasaane nahi aate, Saahil pe samandar ke khazaane nahi aate. Udne do parindo ko abhi shokh hawa main, Fir laut kar college ke zamane nahi aate.
Aap jaisa Dost Har 1 ka Khwab Hota hai, Jinka 1 Alag Andaz Hota hai, Aasma me Taron ka koi Hisab Nahi, Par Aapke Jaisa Dost Taron me bhi Aftab Hota hai.
Kabhi Kabhi teri palkon pe jhilmilaaun mein, Tu kare intzaar aur na aau mein, Samunder mein le ja kar fareb na karna e-dost, Tu kahe to kinare pe doob jaau mein