Kya zamaana tha,hum roz mila karte the; raat bhar chaand ke humraaz fira karte the.. Dekh kar jo chupchaap guzar jaate hain, kabhi us shakhs ko apna Dost kaha karte the....
Aapne Apni aankho me nur chupa rakha hai, hosh walo ko Diwana bana rakha hai, naz kaise na karu aapki dosti par, muj jaise naachij ko KHAS bana rakha hai...
Jab bhi yaad aati hai muskura lete hai kuch palo ke liye har gam bhula dete hai kaise bhig sakti hai palke aap ke aap ke hisse ke aansu to hum baha lete hai..
Guzra hua waqt dubara nahi aayega, marne ke baad kisi Ko pukara nahi jayega, mere dil Ke jis Kone me teri tasveer lagi hai, teri Kasam yaar us taraf Koi dubara nahi jayega.