Zindagi, manjil, waqt kisi ne humara saath nahi diya, Sab par se puri tarah vishwas uth gaya. Is duniya se ub gaya hai ab humara jiya, Kisi ko kitna hi chaha kam reh gaya.
kuch khwab khwab reh jaate hai kuch sapne adhure reh jaate hai chahat ka wada wafa ki kasmein kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai tujhse milna tujhe paane ki aarzoo kuch khwahishein hasratein reh jaati hai tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe maazi k faqt yaadein reh jaati hai.