Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Koi Dikhaa K Roe Koi Chipaa K Roe Hamein Rulaney Vaale Hamein Rulaa K Roe Marne Ka Mazaa To Tab Hai Jab Hamaara Qatil Bhi Hamaari Kabr Par Aakar Roye !!!
Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai Is ghum ke mausam mein, mera dil ro raha hai Aur alam kuch is tarah ho raha hai Hum jaag rahe hain, sara jahaan so raha hai