Mujhko Udaas dekh kar, Zamane ne yeh Saawal kiya, Woh kaun Hai zalim, Jisne tera yeh haal kiya, Maine kaha woh mohabbat hai, jo meri unke sath hai, woh nikli bewafa bus itni si baat hai...
Ankhen apki ho, par ansu mere Zindagi apki ho, par sanse meri Dil apka ho, par dharkan meri Zindagi ke akhri mor par dua hogi yahi Kafan apka ho, aur maut meri.
Main Na Mil Sakoon Jo Tumse Meri Justaju Na KarnaTumhe Meri hi Qasam Hai Meri Aarzoo Na Karna Muje Jisse Hai Mohabbat Use Hai Ajab Ye Aadat Kabhi Munh Ko Pher Lena Kabhi Baat Naa Karna
Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta, Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta, Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai, Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta
Na roke aaj humey koi, dard mein doob jaane de jitney bhi ansoo kaid hain, aaj unko bahaane de suna hai humney, pani ki dhaar se patthar bhi kat jate hain dekhenge, haal pe mere kya sang dil bhi pighal jatey hain…