Hazar gum the meri zindgi akeli thi,Khushi jahan ki mere vaaste ek paheli thi,Wo aaj bhaag k nikalte hai mere saaye se,Maine jinke liye gum ki dhoop jheli thi.
Mar Jaonga Bakhsis Ki Dhuai Nahi Doonga Sacahi Ka mujrim Hoon Safai Nahi Doonga Mer k Bhi Meri Rooh Tere pass Rahe Ge Mein Samne Aa Ke Bhi dikhai Nahi Doonga
Din bhar soch mein doobon raaton ko chain nahin Kaise keh doon dil mein ab koi nahin Door tu hai par mohabbat tere liye kam nahin Duniya kya samjhe bewafaa tu hai hum nahin
Dhalne Lagi Hai Sham Tere Intizar MainYeh Subha Kaise Ho Gi Tere Intizar Main Shabnam Bhi Ro Parri Meri Bebasi Par Aaj Ashkon Se Raah Sajayi Tere Intizar Main.
Sabhi log to kabhi acchay nahi hotay jin say such sikha ho woh bhi sachay nahi hotay,Kyun aisa hai aithbar ke toti dehlizon par jo boht he apnay hon woh bhi apnay nahi hotay.