Seh liya har dard humne haste haste" ujd gaya ghar mera yaaro baste baste" ab wafa kare to kis se kare yaaro" wafa karne gaye to bewafa hi mile raste raste.. """
Maayusiyon ki dhool se har naksh hai dhundhala tera.Maine kabhi Ae zindagi dekha nahin chehra tera.Tu bhi kabhi mehsoos kar kya hai bikharne ki tadap.Ek roz bazi yu saje sheesha tera pathar mera.
Hume pyaar nahi tha Unhone karna sikha diya,hum bewafa nahi the Unhone bana diya,ab kya wafa kare hum unse,jab unhone kabr ki mitti me bhi zeher mila diya.
Nae Us Par Itna Yakeen Kyon Hain Uska Khayal Itna Itna Haseen Kyon Hain Suna Hai Pyaar Ka Dard Mitha Hota Hai To Aankhon Se Nikla Aansu Namkeen Kyon Hai..
Ai mere humnashin chal kahin aur chal, Is chaman mein ab apna guzaara nahin, Baat hoti gulon tak to seh lete hum, Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin