Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,Yahan to log ginate hai khubiya apni,Me apne aap me khamiya talash karta hoon..
Kalam uthayi hai lafs nahi milta, jisko dhoond rahein hain vo shaks nahi milta, firte hain vo jamaane ki talaash mein, bas humare liye unhe waqt nahi milta!!!
Jo gham hai mere dil mein, kaise bayaa karu dhoop bhi jab sard ho to dil ghabraata hai dikhta nahi jo jakhm, use kya dawaa karu, hamdard ko jab dard ho to dil ghabraata hai