Yu to sadmo me bhi hans leta tha main, aaj kyun bewajah rone laga hu main... baraso se hatheliya khaali hi rahi meri phir aaj kyun lagata hain ki sab khone laga hun main
Pyaar ke ujaale me gum ka andhera kyun aata hai, Jisse hum chahte hai wahi hume kyun rulaata hai, Agar wo mera nasib nahi to puchta hoon uss khuda se, Aise logon se kyun milaata hai.
Bemausam Barsat Aaj Mujhse Kuch Keh Gayi,In Baaho Me Aaj Phir Uski Kami Reh Gayi,Ek Pal Ke Liye Use Gale Lagaya Mene,Aur Phir Uski Yaad Aansu Bankar Beh Gayi
Jane kyun hame aansu bahana nahi aata. jane kyun haale dil sunana nahi aata. kyu sathi bichhad jate hain hum se. shayad hame hi sath nibhana nahi aata...