Jane kyun hame aansu bahana nahi aata. jane kyun haale dil sunana nahi aata. kyu sathi bichhad jate hain hum se. shayad hame hi sath nibhana nahi aata...
mere to dard bhi auro ke kaam aate hain me ro padu to bahut loog muskurate hain khuda jane wo loog kaise sukun paate hain dilo ke khail me jo haar jaate hain
Gam nahi tha humko kabhi zamaane ki ruswayion ka,Takleef hoti hai jab koi apna khafa ho jata hai,Dil ki khalish aksar jaan leva ho jati hai lekin,Dar-e-dil ek had ke baad dard-e-dawa ho jata hai.
Suhana mosam tha or hawa me nami thi,Ansu ki behti nadi abhi-abi thami thi,Milna to hum bi chahte the par,Unke pas waqt or humare pas sanso ki kami thi !
Dil Ne Tere Bare Main Poocha To Bohat Roya Vo Shaks Jo Pather Tha,Toota To Bohat Roya Ye Dil Ke Judai Ke Wo Barso Se Chup Tha To Bohat Chup Tha,Roya To Bohat Roya
Dil tadpata raha or woh jane lage… sang guzre har lamhe yaad aane lage… khamosh nazro se dekha jo usne mud kar… yu bhingi palko se ham bhi muskurane lage…