Arz kiya hai jinki yad me hum diwane ho gaye, woh hum hi se begane ho gaye, shayad unhe talash hai ab naye dost ki, q ki unki nazar me ab hum purane ho gaye.
kuch khwab khwab reh jaate hai kuch sapne adhure reh jaate hai chahat ka wada wafa ki kasmein kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai tujhse milna tujhe paane ki aarzoo kuch khwahishein hasratein reh jaati hai tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe maazi k faqt yaadein reh jaati hai.
raaz ki baatain likhi aur khat khula rehney diya jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya.. umar bhar saath reh kar woh na samjha dil ki baat. do dilon kay darmiyan ik faasla rahney diya ! apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood, Khatam ki ranjish magar gila rehney diya !