Kisi k Haq mein hi sahi, wo DUA to kare Wo keh nahi sakta, meri Suna to Kare Main Lott jaon ga apni Udas Duniya main Wo shaks mujhse Bicherny ka faisla to kare
Gamo se hath na milata to kya karta, aasuwo ko gale na lagata to kya karta, andero ne mangi b to roshni ki bhik mujse, fir apna dil na jalta to kya karta
Jis kisiko bhi chaho woh bewafa ho jata hai.Sar agar jhukao to sanam khuda ho jata hai.Jab talak kaam ate raho humsafar kehlate raho,Kaam nikal jaane par humsafar koi doosra ho jata hai.
Maayusiyon ki dhool se har naksh hai dhundhala tera.Maine kabhi Ae zindagi dekha nahin chehra tera.Tu bhi kabhi mehsoos kar kya hai bikharne ki tadap.Ek roz bazi yu saje sheesha tera pathar mera.