Unse dur jaane ka irada na tha, sada saath rehne ka bhi waada na tha, woh yaad na karenge ye jante the hum, par itni jaldi bhul jayenge ye andaza na tha.
Unki tasveer ko seene se laga lete hain, iss tarah judai ka gham mitaa lete hain. Kisi tarah zikar ho jaye unka, to hass kar bheegi palkein jhuka lete hain.
Ek naqaab sa chehre pe har kisi ne laga rakha hai Aur dilon mein jhaankne ka hunar humein haasil to nahin hai Par aksar chot khaayi hai malham lagane waalon se hi Darte hain kahin aap bhi unme shaamil to nahin hai