Kya Kya na socha Tha dil ne, kya kya na sapne sajaaye…. jal gaye saare sapne… reh gaye khaak ke saaye…. ab gila bhi kisse karoon main… kasoor To kisika bhi nahi… upar vaale ne hi kuch aise sitam ab mujh pe dhaaye, kuch na keh sake… nikli to bas dil se yehi aawaaz… haaye!
Gam nahi tha humko kabhi zamaane ki ruswayion ka,Takleef hoti hai jab koi apna khafa ho jata hai,Dil ki khalish aksar jaan leva ho jati hai lekin,Dar-e-dil ek had ke baad dard-e-dawa ho jata hai.
Mana K Mera Katil Wohi Tha Sare Shehar Me Tarif K Kabil Wohi Tha,Kehta Tha Tera Hoon Tera Hi Rahunga par Lagi Jo Dushmano Ki Mehfil To Sab Se Age Bhi Wohi Tha