Daniswaro ka dil hu, khirat ka khyal hu, Jo hal na ho sake kabhi aisa sawal hu, pagal bana diya he muje tere intejar ne, me tere intezar ki zinda misal hu.
Chale bhi aao ki hum tumse pyar karte hain.Yeh woh gunah hai jo hum bar bar karte hain.Log maut tak hi dilbar ki raah takte hain,Hum hai ki kabar mein tera intezaar karte hain...
raaz ki baatain likhi aur khat khula rehney diya jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya.. umar bhar saath reh kar woh na samjha dil ki baat. do dilon kay darmiyan ik faasla rahney diya ! apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood, Khatam ki ranjish magar gila rehney diya !
Ankho mein raha dil me utar kar nahi dekha Kasti ke musafir ne kabhi samandar nahi dekha Bewaqt agar jaunga sab chauk padenge Muddat hui din me kabhi ghar nahi dekha