Mere Honton Ke Mehaktay Hue Naghmo Par Na Ja Mere Seenay Main Kaye Aur Bhi Ghum Paltay Hain Mere Chehray Par Dikhaway Ka Tabassum Hai Magar Meri Aankhon Main Udaasi Kay Diye Jalte Hain
Nazar, nazar se milane me dar lagta hai, Mere Mehboob ke inkaar se dar lagta hai, wo khele mere dil se kuch is tarah, ki ab to husan -e -aaftaab se bhi dar lagta hia..
raaz ki baatain likhi aur khat khula rehney diya jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya.. umar bhar saath reh kar woh na samjha dil ki baat. do dilon kay darmiyan ik faasla rahney diya ! apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood, Khatam ki ranjish magar gila rehney diya !