Mohabbat mein laakhonohabbat mein laakhon zakham khaye humne, afsos unhe hum par aitbar nahi, mat pucho kya gujarti hai dil par, jab vo kehte hai hame tumse pyar nahi..
Dil Ko Har Waqt Tasalli Dena Hota Hai. Dard Hota Hai Na Jane Kahaan Hota Hai. Aap Kyun Puchte Ho Is Dard Ki Haalat. Hum Kya Batayen Ki Ye Dard Kahaan Hota Hai.
Aansu ki bundo ko noor kr diya,tanha jeene ke lye majbur kar diya,ye kaisa khel khela takdir ne mere sath,jo dil ke karib tha mere usko hi mujhse door kar diya
Manzile bi uski thi,Rasta bhi uska tha. Ek main akela tha,Kafila bi uska tha.. Sath Sath chalne ki soch bi uski thi,Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha... Aaj kyo akela hoon,Dil sawal karta hai,Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska tha,.
Na dil se hota hai,na dimag se hota hai, ye Pyaar to itefaaq se hota hai;Aur kya kahen Pyaar karke bhi Pyaar na mile,Ye itefaq sirf hamare hi saath hota hai.