Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
Hume pyaar nahi tha Unhone karna sikha diya,hum bewafa nahi the Unhone bana diya,ab kya wafa kare hum unse,jab unhone kabr ki mitti me bhi zeher mila diya.
Tanhai main akelapan saha jaayega, Par mehfil main akela raha na jaayega, Unka saath nahi fir bhi jiya jaayega, Par un k saath koi aur ho ye saha na jaayega.
Kitne Parvane Jale Raaz Ye Pane Ke Liye Shamma Jalne Ke Liye Hai Ya Jalane Ke Liye? Ronewale Tujhe Rone Ka Saliqa Bhi Nahi Ashq Pine Ke Liye Hai Ya Bahane Ke Liye?