kuch gam mere dil se sambhale nahin jate Ashu.n bhi unhe sath nahin le jaye Ek waqt tha pi jate the sau gam ke samunder Do ashk bhi ab mujhse sambhale nahin jate
Pee hai sharab har gali har mehkhane se, ek dosti si ho gai hai sharab ke jam se, guzre hai hum kuch aise mukam se ki nafarat si ho gai mohabbat ke naam se
Kaun andaza mere gum ka laga sakta hai, Bin chale kaun sahi raah bata sakta hai, Kinare walo tum mere dard ko kya jano, Dubne wala hi gahrai bata sakta hai!
Mujhai dard-e-ishq ka maza maalum hai, Dard-e-dil ki intha maalum hai, Zindgi bhar mooskrane ki dua na do yaro, Mujhai pal bhar mooskrane ki saza maalum hai.
Unki tasveer ko seene se laga lete hain, iss tarah judai ka gham mitaa lete hain. Kisi tarah zikar ho jaye unka, to hass kar bheegi palkein jhuka lete hain.