Ek bar mombati ke ander ka dhaga bola, main jalta hu to tu kyu piglti hai? Mombati boli,jisko dil me jagah di ho vo jab bichadta hai to ansu to nikalte hai na.
Is matlab ki duniya me koi humara na hua,Jise humne sabse zyada chaha usine hume dhokha diya,Hum the jinke liye taiyar sabkuch chorne k liye,Kya pata tha k ek din wo hume hi chor denge
Aap na Aye apki yad akar wafa kar gai,apse milne ki tamanna Sukun tabah kar gai,ahat hui socha asar Dua kar gai,Darwaza khola dekha mazak humse Hawa karGAYI.
Waqt guzarta raha par sanse thami si thi, muskura rahe the hum par ankho mein namisi thi, sath hamare ye Jahan tha sara,par Na jane kyun kisi ki kami si Thi
Zikar unka hi aata hai mere fasane mein,jinko jaan se zyada chaha hmne zmane mein. Tanhayi mein unki hi yaad ka sahara mila,nakamyaab rhe jinhe hum bhulane mein
Aansu ki bundo ko noor kr diya,tanha jeene ke lye majbur kar diya,ye kaisa khel khela takdir ne mere sath,jo dil ke karib tha mere usko hi mujhse door kar diya