AshkoN ko humne kayi baar roka, phir bhi na jane kyoN ankheN dhoka de gayi, Bharosa to tha hameiN apne aap par magar, unka zikr aate hi naa jane kyoN palkeN nam ho gayi.
Kaun chahta hai kisi se DiL lagana Magar ye pyar 1-din sabko ho hi jaata hai Kaun chahta hai apna DiL dukhana Magar ye pyar sabko Rona sikha hi deta hai...
badal ki tarah jhum k lehra k piyenge saaki tere maikhaane me hum ga k piyenge dekhenge k aata hai kidhar se ghum e duniya saaki tujhe hum saamne bithla k piyenge
hum jis ke wajood mein khud ko talaashte hain... woh auron ki baahon ko apnaa pyaar maante hain... hum jis ka saaya ban kar saath chalnaa chahte hain.. woh humaare ehsaas ko bhi thokar maarte hain...
Uss Se Juda To Hogaya Per Youn Laga Mujhe Jese Jahan Mein Koi Apna Nahi Raha WO Bewafa Nahi Magar Itna Zaror Hai Pehle Wo Jis Tarah ka Tha Wesa Nahi Raha
Raat ankho me dhaLi palkon par jugnu aye hum hawao ki tarah jakar use chuh aye usne chuh kar mujhe pathar se insan kiya mudhaton baad meri ankho me ansu aye