Ek aansu hai hum, ajeeb dastan hai hamari, kuch ne navaza moti se toh kisine kaha paani, kuch ne kaha hum anmol hain, toh kisi k liye naa hamara koi mol hai. Jaane kya kismat hai humne payi joh har waqt mili hum ko tanhai, kitne din saath rahe in aankhon mein phir kyun chalak pade tum tanha ae harjaai…
Sabab judai ka kuch to batoo muje, Phir chahe Dil-O-Jaan se sataoo muje, Chalo yeh mana k tumhain fursat hi nahi, Magar ye Jarorri to nahi k bhool jao muje
Maikhane mein jam tut jata hai, Ishq mein dil tut jata hai, Na jaane kya rishta hain dono mein. Jam tute to Ishq yaad aata hai, Dil tute to Jam yaad aata hai.
Nafrat thi hamse to izhar kyu kiya? Dena tha zaher to pyar kyu kiya? Dekar zaher kehte hai ke pina hi hoga,Aur jab pi gaye zaher to kehte hai ab jina hi hoga.
Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta, Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta, Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai, Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta