Yaadon ki parchayee mein ab to aaye tera hi cehra Tu abhi tak iss baat se hai anjaan main hoon deewana tera Izhaar-e-mohabaat karne to bahot baar socha maine Par har baar tere hi aks ne roka hai rastaa mera
Tanhai mein waqt barbad kiya karte hai, Hum har din har pal tumhe yaad kiya karte hai, Mein nahi janta gharwale batate hai, Hum neend mein bhi aapka naam liya karte hai
Kaash aisa ho ki tumko tumse chura loon, waqt ko rok kar waqt se ek din chura loon, tum paas ho to is raat se ek raat chura loon, tum saath ho to is jahan se ye jahan chura loon.