us rishte ka koi anjaam koi aagaaz nahi tha ada thi usme par mujh mein koi andaaz nahi tha kal maine poochha, uske paas koi raaz nahi tha aaj poochha usne aur mere paas alfaaz nahi tha
kabhi kuch na kehkar bhi,sab keh jata hai ye dil,kabhi chup rehkar bhi har dard seh jata hai ye dil,dil ki aahein to aaj tak hum bhi na samajh paaye ,gumon k andhere me bhi khud jalkar roshini kar jata hai ,,,,,,,,,,,,ye dil
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Har baat samjhane ke liye nahi hoti, Zindagi hamesha paane ke liye nahi hoti. Yaad to aksar aati hai hume aapki, Par har yaad jatane ke liye nahi hoti.
Benaam sa ye dard Q nahi jata,Jo beet gaya hai wo gujar Q nahi jata.Saans bina ruke dum nikal Q nahi jata,Jo muje ho gaya hai unse,Unhe mujse ho Q nahi jata
Aaoge Jab Ghar Hamare Deep Jala Lenge,Miloge Jab Hamse EID Mana Lenge,Na Dosti Ki Koi Maszid Hai Na Koi Mandir Jaha Mango Dua Tum,Hum Sir Wahi Juka Lenge.