Gila rahe humse shikwa rahe humse, aarzoo hai bas yehi ek silsila rahe humse. Fasle ho darmiya, ya khata ho koi humse, dua hai bas yehi nazdikiya rahe humse....
Khyal tha ki hum tujhe razdan bana lete Magar ye log nayi dastan bana lete Tu ek baar muhabbat se dekh leta to hum Zamin khud ko tujhe aasman bana lete
Barishon k mausam main tumhain yaad karney ki adat purani hai ab ki baar socha hai adatain badal dalain phir khayal aya k.... adatain badalney se barishain nahin rukti....
Apke saath rahte rahte hume chaahat si ho gayi. Apse baat karte karte hume aadat si ho gayi. Ek pal na milo to bechaini si lagti hai. Dosti nibhate nibhate hume to mohabbat si ho gayi..