Ae khuda aaj nazron ko kuch aisi beenai de, jidhar dekhu udhar vo hi dikhai de,kash aisi meharbaniya ho aaj hawa me, ki usko pukaru aur usi ko sunai de..
Chhup Gaye Wo Jakar Kanhi Shayad Hame Satane Ko Lekin Ham Unki Yaad Me Bhool Gaye Zamane Ko Koi Unhe Jakar Ye Bata De Ki Taraste Hai Ham Unki Ek Jhalak Pane Ko
Is kadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye, Kyu ho khafa ye bayan to kijiye, Kar dijiye maaf agar ho gayi hai koi khata, Yu yaad na kar ke saza to na dijiye
Us Ke Ankhon Main Koi Dukh Basa Ho Shayad Ya Mujhay Khud He Vahem Hua Ho Shayad Main Na Pucha k Bhool Gae Ho Mujh Ko Pounch Kr Ankhain Mujhay Us Na Kaha "SHAYAD"
AMAL SAY BHI MANGA WAFA SAY BHI MANGA MAIN NAY TUJHAY TERY RAZA SAY BHI MANGA AGAR KUCH NA HO SAKA TO DUA SAY BHI MANGA KASAM HAI KHUDA KI KHUDA SAY BHI MANGA.