baat karani mujhe mushkil kabhi aisi to na thi jaisi ab hai teri mahafil kabhi aisi to na thi le gayaa chhin ke kaun aaj meraa sabr-o-qarar beqaraari mere dil ko kabhi aisi to na thi
Sunte hai ki mil jati hai har cheez dua se Ik roz tujhe bhi mang kar dekhenge khuda se Duniya bhi mili hai ghame duniya bhi mila hai Woh kyun nahi milta jise manga tha khuda se
Raat kya dhali sitaare chale gaye, Gairo se kya Gila jab apne chale gaye, Jeet to sakte the ishq ki baazi hum bhi, Par tumhe jeetne ke liye, hum haarte chale gaye.
Teri Khawish Us Waqt Bahut Tarpati Hai Sawan Me Koi Boond Jab Bikhar Jati Hai Meri Ruh Bhi Tarapne Lagti Hai Us PalJab Thandi Hawa Teri Gali Se Guzar Kar Aati Hai
Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To Saath Dekhe Hue Khwab To MitTe nahi
Sard Raaton Ki Tanhaai Mein, Hum Teri Yaadon Ke Chirag Jalaye Bethe Hai, Kabhi To Tum Zindagi Ki Haqeeqt Banogi, Sochkar Palkon Mein Khwab Sajaye Bethe Hai!