Nigaho par nigaho K pahere hote he,In nigaho K ghav bhi gahere hote he,Na jane kyu koste he log badsurto ko,Barbad karne Vale Chahere to hasin hote he.
Iss Duniya Ki Bheer Mein Koi Tanha Nahi Ye Zaroori Tu Nahi... Hanstey Laboon Kay Peechay Koi Siski Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Muskarati Aankhoon Kay Peechey Koi Aansoo Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Ye Dil Under Say Tootey Or Chanak Bahar Bhi Sunai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Hum Under Say Jal Jaeen Or Dhuaa Bahar Bhi Dekhai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Duniya Aapne Diya Hue Zakhmoo Per Marham Bhi Rakhey Ye Zaroori Tu Nahi
Tumhe khwaab kahoon to bikhar jaaoge tumhe dil kahoon to toot jaaoge lo tumhara naam zindagi rakh diya, kam se kam maut ke pahele chhodkar to nahi jaaoge
Humne apni ik duniya banai hai,Jis mein rehti main aur meri tanhayi hai,Us tanhayi mein baatein aur yaadein hain uski,Agar batadun sab ko to meri ruswai hai
shayri kya hai ek baat jo kehte kehte chupa li jaye ek yaad jo sine se laga li jaye jante ho shayri kuch u hoti hai ki ek aah chand lafjo me chupa li jaye