phir din dhal gaya,fir raat aa gayi ,fir tanhai me baithne ki baat aa gai,abhi to taron ki panah me beithe hi the ,chand ko dekha to un ki yaad aa gai.
Kabhi mautse zindgi ka sauda na kar saka Uski yaado ko dilse juda na kar saka.Use bhulne ki aarju bahut thi dilme Par kaise karu wo kaam jo khuda na kar saka
kuch tumhare ankho ki kajal ne kaha kuch tumhare julfo ki badalne kaha jo keh na saki tumhare khamosh honth hawa me lahrati hui tumhari aanchal ne kaha
Apni tasveer ko aankhon se lagata kya hai,Ek nazar dekh, tera jata kya hai,Meri rushvai mein tu hai barabar ka sharik,Mere qisse aaron ko sunataa kya hain.
Mitha sa dard dil me utha tha abhi abhi, kya tumne mujhe yaad kiya tha abhi abhi, tumse mile hue gujar gaya hai zamana, par aisa laga jaise tum mile mujhe abhi abhi.