Har ghadi intezaar mein gujri,baato ke baad aapki yaadon mein gujri,hum to ek phool the, aap rakh ke bhule gaye,phir tamam umar aapki kitaab mein gujri.
Jindgi itni jiyo jiski koi had na ho.Bharosa itna karo ki koi shaq na ho.Intzar itna karo ki koi waqt na ho.Aur pyar itna karo ki na mile to nafrat na ho.
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Chaha tha jisko use bhulaya na gaya, jakhm dil ka logo se chupaya na gaya, judai k baad bi itna pyar karta hai dil use, k judai ka ilzam bi us pr lagaya na gya.