Koi khwab in aankho me sajaya hi nahi,Hamare dil ki gehrai ko koi samajh paya hi nahi,Kisi ko mehsus ho kami hamari,Khuda ne Shayad hame aisa banaya hi nahi.
Ga saku nagma,wo saaz kaha se lau, Suna saku kuch aapko wo andaz kaha se lau, Yu to chand ki tarif karna aasan hai, Kar saku aapki tarif wo alfaj kaha se lau,
Dil k kehne pe dil ki duniya chhod aaye,Sabhi rishte nato se muh mod aaye.Humse na mangna hisab wafai ka-e-yaro,Unki chahat me n jane kitno k dil tod aye.
Teri nindo me rahu tere khwabo me rahu,chahta hu me tere pyarki bahon me rahu,mujhko b apni mhbt ki bahare dede,me b khushbu ki tarah bs tri sanso me rahu