Jo hadse na guzar jaye wo pyar hi kya, Jo pyar karne pe majboor na karde wo ikraar hi kya, Intezar to sab karte hai..... Saanse tootne tak jo saath na de wo yaar hi kya!
Honth keh nahi sakte jo fasana dil ka, Shayad nazar se woh baat ho jaye. Is umeed mein karte hain intezaar raat ka, ke shayad sapne mein mulaqat ho jaye.
Kyun kisi se itna pyar ho jata hai, ek din jeena bhi dushwaar ho jata hai. lagne lagte hain apne bhi paraye, aur ek ajnabi par itna aitbaar ho jata he.