Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Bhigi huyi aankhon ka ye manzar na milega, ghar chhod ke mat jao kahi, ghar na milega.phir yaad bahut aayegi zulfon ki ghani shaam, jab dhup me saya koi sar par na milega.aansu ko kabhi oos ka qatra na samajhna, aisa tumhe chahat ka samundr na milega.
Mere Khwabo Me Aana Unka Kasur Tha,Unse Dil Lagana Hamara Kasur Tha,Woh Aaye The Zindagi Me Pal Do Pal Ke Liye,Par Unko Zindagi Samajh Lena Hamara Kasur Tha
Kisi k DIL me teri DHADKAN aj bhi he, kisi k NAJAR me tera DIDAR aj bhi he, agar JINDAGI se ho shikayat to YAAD karna, kisi ki JINDAGI me teri KAMI aj bhi he
Ab k Mujh Ko Dekh K Wo Dekhta Reh Jayega Is Qadar Badlainge K Sochta Reh Jayega Mere Chehre Pe Bhi Honge Be-rukhi K Zawiye Aisa Hy k Wo Mujh Main Mujh Ko Dhundta Reh Jayega