Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho, mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho, Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa, pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho,
Tujhe dekhe bina teri tasveer bana sakta hoon, tujhe jane bina tera haal bata sakta hoon, hai meri mohabbat mein itna dum, apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon....
Meri aakhon se 1 aasu nikal aya maine use pucha ki tu bahar kyu aya to usne kaha ki tumhare akho me koi itna samaya hai ki chahkar bhi apni jaga na le paya
Din Tere Khayal Mein Gujar Jata Hai, Raat Ko Bhi Khayal Tera He Aata Hai. Kabhi Ye Khayal Is Tarah Bad Jaata Hai Ki Aaine Mein Bhi Tera Chehra Nazar Aata Hai.