Mayoos tow hoon mager hona nahi chahti Kia karon mein ussay bhulana nahi chahti Janti hon wo bay khaber hai mujhe se phir bhee Uss k khayal ko dil se mitana nahi chahti
Dil Hi Dil Se Dil Ki Baat Ho Jayegi Aaine Me Dekho Khud Ko Humse Baat Ho Jayegi Shikwa Na Kariye Humse Milne Ka Ankhe Band Kariye Humse Mulaqat Ho Jayegi
Na kabhi ye chupaya ki Pyaar kitna hai,Na kabhi ye Jataya ki dard kitna hai, Bus ek hume aur uss Khuda ko hai maloom,; tujse mulakat ka intezar kitna hai.
Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To Saath Dekhe Hue Khwab To MitTe nahi
Bhul jana usay jo bhula jaye, Yaad karna usay jo nibha paye, Wade to bahut log karege, Magar dil ki baat usay zarur kehna jis ke bin ek pal bhi jiya na jaye..