Aaj kuch khas baat to jaroor hai ...... jo aap itne madhosh huwe ja rahe hain..... kahin ye bin piye jaam ka nasha to nahin.. jo aap itne Ashiq mizaz huwe ja rahe hain
Kya zamaana tha, ke hum roz mila karte thay, Raat bhar chaand ke humraaz phira karte thay, Dekh kar jo humein chup chaap guzar jate hai, Kabhi us shaks se hum pyaar kiya karte thay.
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.