Badalna nhi aata humen dostoon ki terhan Har ek rut mein tera intezar karte hain Na tum sameet sako ge jise qayamat tak kasam tumahri tumhen itna pyar karte hain..
Hasa kar kisi din rula mat dena,khas bana kar kabhi gair bana mat dena mana ki roz apse hum milte nahi isi baat ka bahana bana kar kisi din bhula mat dena.
Us Ke Ankhon Main Koi Dukh Basa Ho Shayad Ya Mujhay Khud He Vahem Hua Ho Shayad Main Na Pucha k Bhool Gae Ho Mujh Ko Pounch Kr Ankhain Mujhay Us Na Kaha "SHAYAD"
Pyar chupta nahi aankhen chupaane se,Dil rukta nahi kisi ke samjhaane se.Ruk jaati hai dhadkan tujhe bhool jaane se,Hum tujhe yaad karte hain jeene ke bahaane se.