Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya, Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya, Dil to dil tha samundar ka sahil nahi, Likh diya naam to fir mitaya na gaya.
Khyal tha ki hum tujhe razdan bana lete Magar ye log nayi dastan bana lete Tu ek baar muhabbat se dekh leta to hum Zamin khud ko tujhe aasman bana lete
Aap k pyar ko salam kiya hai.Jine ka har andaz apke naam kiya hai mang lijiye us khuda se aaj kuch bhi Kyonki humne apni har mannat ko apke naam kiya hai..
Hum ne tanhai me zanzeer se baaten ki hai,apni soi huwi taqdeer se baate ki hai,tere didar ki kya tamanna hogi, zindagi bhar teri tasweer se baaten ki hai.
Girti hui baris ki bundo ko apne hatho me simat lo,jitna pani tum simat paye utna yaad tum hume karte ho,jitna pani tum simat nhi paye utna yaad hum karte hai.