Meri yhi chaahat thi ki tum hmari zindagi mein aao Lekin yh ho na ska aur ab hum apni takdeer pe rote hai Neend to nhi aati hai ratoon ko lekin Phir bhi kabhi khuaboon mein aao isi ummeed se sote hai
Ga saku nagma,wo saaz kaha se lau, Suna saku kuch aapko wo andaz kaha se lau, Yu to chand ki tarif karna aasan hai, Kar saku aapki tarif wo alfaj kaha se lau,
Pyar me bewafai mile to gum na karna,Apni aankhe kisi k liye num na karna,Wo chahe laakh nafrat kare tumse,Par tum apna pyar kabhi uske liye kam na karna.
Teri wafa ne mujhe khud aur sitam karne na diya Jo aaye palkon par moti unhe jharne na diya Maine samhja hai khud ko sada amanat teri, Isi khayal ne mujhko kabhi marne na diya
phir din dhal gaya,fir raat aa gayi ,fir tanhai me baithne ki baat aa gai,abhi to taron ki panah me beithe hi the ,chand ko dekha to un ki yaad aa gai.