Girti hui barish ki bundo ko apne hato me samet lo, Jitna pani tum samet paye utna yaad tum karte ho, jitna pani tum samet nahi paye, utna yaad ham karte hai...
Kashish honi chahiye kisi ko yad karne ki, Lamhe to apne aap mil jate hain. Waqt hona chahiye kisi k saath gujarane k liye, Bahane to apne aap mil jate hain !
DIL se duwayen bheji hai, Man ki umange bheji hai, Is paigam ko alfazo ka dher mat samajna-hamne apni taqdeer se churakaq thodi khushiyan apko bheji hai..
kabhi kaha na kisise tere fasane ko, jane kaise khabar lag gayi zamane ko! Dua bahaar ki mangi to itni ful khile, Kahin jagah na mili mere aashiyane ko!!
Sari umar aankho mein ek sapna yaad raha,Sadiyaan beet gayi wo lamha yaad raha,Jaane kya baat hai aap mein,Sari mehfil bhul gaye bas wo pal yaad reh gaya.
Khuda se b pehle tera naam liya h maine,Kya pata tujhe kitna yaad kiya h maine,Kaash sun sakey tu dhadhkan meri,Har saans ko tere naam se jeeya he maine.